A blog about cutting edge technology at its maximum pace.

Ritesh Warke On Monday, April 11, 2011



HOW OUR COUNTRY WAS NAMED BHARAT, HINDUSTAN & INDIA


Given below is the exact reason why those names were given to our country..
What we read in Text Book & whats the actual story Behind it.
The entire text is in Hindi so ne1 not well versed with the lang can ask me, i'll try my best to explain.



Bahut dino se BHARAT k naam ko lekar hamare itihaas k books me kafi ajeeb-ajeeb baatein ki jati hai,
aur ye sab Angrejo k bataye gaye marg par hi hume padhaya jata hai...

Bharat k kai naam hai, jaise Jambudeep, Aryavrat, Bharat, Hindustan aur India.
Pehle do ko chod k main baaki teen k bare me likh raha hu..


BHARAT-

Bharat ka naam Raja Dushyant k bete, Bharat k naam pe rakha gaya tha, aisi baatein hum padhte aa rahe hai.
Agar hum duniya k kisi bhi dharm aur sanskriti ko dekhenge ki wo bhumi ko matra(maa) ki shakti k roop me mante hain, aur hamare desh me ise matra-bhumi hi kaha jata hai, aur Bharat Mata k naam pe hi hum jaykar lagate hain.
Bharat naam k Raja jo the wo purush the aur unke naam pe Bharat naam rakha gaya hoga ye sahi nahi hai..

Bharat koi aaj ka naam nahi hai, ye to anant-kaal se chala aa raha hai.
Hamare vedo me, purano me, brahman grantho me, ramayan me, mahabharat me, har jagah iss bhumi to Bharat naam se hi sambodhit kiya gaya hai.

To ye "Bharat" shabd aaya kaha se...???

Bharat bana hai do shabdo ko mila k.. Bha + Rat = Bharat.
"Bha" ka matlab hai "Gyan", aur "Rat" ka matlab hai "Laga Hua".
Ab dono ko agar jodenge to matlab hua "Jo Gyan me Rat hu" arthat Har Samaj jo Gyan ki prapti me laga hai wo Bharat hai.
Aur iska praman bhi hai ki humne is Sansar ko atulneey Gyaan diya hai.
Aur ye Bharat naam Maa Bharti se nikla hai, aur ye Maa Bhart hai Vidya ki devi Saraswati Ji.



HINDUSTAN-

Ek aur naam hai Bharat ka, wo hai Hindustan aur dekhiye kaise markhtapurn tark diya jata hai Hindustan k naam pe.
Hum logo ko padhaya gaya tha ki jab Madhya-Purv se Aakraman-kari Bharat me aate the to Sindhu nadi k wajah se ise Hindustan kehne lage.
Sindhu nadi kabhi bhi hamari pehchaan na thi, na hogi.. aur Madhya-purv wale koi aise murkh nahi the jo "S" ko "H" bolte the.

Ye Hindustan bhi do shabdo ko mila k banaya gaya hai, Hindu + Stan = Hindustan.
"Stan" ek Persian shabd hai aur iska matlab hota hai jagah/sthaan/desh. Ye Sanskrit k shabd "Sthaan" se Persian me liya gaya gaya hai.
Hindustan ka matlab hua "Hinduwo ka sthaan/Hinduwo ki Jagah/Hinduwo ka Desh."
Jaise Pak + Stan = Pakistan, hindi me iska matlab hua Pavitra Sthaan/Pavitra Jagah/Pavitra Desh.



INDIA-

Bharat ka naam India kyu rakha angrejo ne..??
Hume bachpan me padhaya gaya tha ki Angrej jab Bharat aaye to Indus nadi aur Sindhu ghati sabhyta (Indus Valley Civilization) k naam pe unhone Bharat ko India kehna shuru kia.
Pehle to main bata du ki Angrejo ne kabhi bhi Indus nadi k marg se Bharat me prawesh nahi kiya, wo Bharat jab bhi aaye to Samudr k raaste se aaye.

Dusri baat ye ki Sindhu ghati sabhyta ki khoj Angrejo k Bharat me rehte hue hui thi, na ki Angrejo k aane se pehle.
Is ki pehli jaankari 1842 me mili thi aur baad me 1920 me is pe zyada kaam hua.
Aur usse pehle Mc.Kale ka bayan 1835 me aaya tha jo usne British Parliament me diya tha, tab usne Bharat ko India keh k sambodhit kiya tha.
Aur usse pehle bhi jitne dastawez mile hai, un sab me Bharat ko India hi bataya gaya hai.

Angrejo ne India naam udhaar liya tha Greek bhasha se, Bharat ko greek me India kehte aur likhte hain.
Greek log India kehte the to uska matlab Bharat hi hota tha, lekin Angrejo k raaste hote hue aB Hum Bharat k log bhi ise India hi kehne lage hai.

Ab saawal ye uthta hai ki Bharat ko Angrejo ne Swatantrata k baad bhi India naam se sambodhit karne ko kyu kaha?
Satta ke hastataran samjhaute me kaha gaya ki "Bharat ka naam India rahega aur sari Duniya me Bharat ka naam India hi pracharit kiya jayega."
Aur Angrejo k Ishare par uss samay hamare desh k karn-dharo ne Sanwidhaan (Constitution) k prastavna me likha ki "INDIA THAT IS BHARAT", jab ki hona chahiye tha "BHARAT THAT WAS INDIA".

Iski wajah ye thi ki Angrejo ko bhay tha ki Bharat fir se Gyan me Rat rehne wala na ban jaye.
Angrejo ne Bharat ko khand-khand me todne ka pura prayas kiya par bhala ho Sardar Patel ka jinhone unki is mansha pe pani pher diya.


Bharat aur India me antar hai.. Jaise,

-India competition pe chalta hai aur Bharat co-operation pe.

-India ki theory hai "Survival of fittest" aur Bharat ki theoru hai "Survival of all including the Weakest."

-India me gyaan degree se milti hai, aur Bharat me gyaan seva se milti hai.

-India me "Nuclear Family" chalti hai to Bharat me "Joint family."

-India me "I" "Main" chalta hai aur Bharat me "Hum" chalta hai.

 

    0 comments:

    Post a Comment

    New Users Register Here